Friday, January 25, 2008

Kaate ko gulab,
paani ko shraab likhte hain,
Achhe _bhale ko
khana_khrab likhte hain.

Jis gazal ka unwaan na ho,
Hum us par kalaam likhte hain.
Gar kisi ne chaha maahtaab hona,
Hum husn ko bemisaal likhte hain.

Magrur adaa ho, nazo_nashtar,
Paini nazar ko talwaar likhte hain.
Jigar hamara hai, kaleja unka,
Haadse ko chaak garebaan likhte hain.

Kashti ka zimmedar naakhuda nahi,
Ham lahar ko majhdaar likhte hain.
Subah se shaam, shaam se raat
Safar ko unka intezaar likhte hain.

Mousam badla ya waqt ka mijaz
Kis kadar hum pure armaan karte hain.
Wo puche na puche har haal unkaHum
ba_adab istaqbaal karte hain.

Chaandni me nahaya hua shaffaq badan,
Fir bhi hum aatish_e_aaftaab likhte hain.
Naaz uthana unka hamara kaam nahi,
Fir bhi patjhad ko bahaar likhte hain.

Jaante hain sare aibo_hunar magar,
Unhe khushbu_e_har singar likhte hain.
Mana ruthna uska shokhi se nahi khali,
Us par gazal `RATAN" laazwab likhte hain !!!!!!!

No comments:

About Me

My photo
ROM ROM SE KARUNAMAY, ADHARO PE MRIDU HAAS LIYE, VAANI SE JISKI BAHTI NIRJHARI, SAMARPIT "RATAN" K PRAAN USEY !!!